Yellow Star
Yellow Star

Munawar Faruqui's Heartfelt Shayari: A Poetic Journey of Life.

by msb

Yellow Star
Yellow Star

Faayda uthaaya hai Mujhe nazar andaaz bhi kiya hai Suna ke fasaane jhoot ke Mujhe barbaad kiya hai Main bhi zimmedaar hoon meri zillat ka Maine gairon par nahi apno par aitbaar kiya hai

Arrow

Pyaar wahi hai, bas batana chhod diya Mehfil pasand teri bas aana chhod diya Kam ziddi nahi hai  wafa yeh meri Tune jab se aajmana chhoda Mene bhi  manana chhod diya

Ab nahi hain hum charago ke mohtaaj Uski aankhen mehfile roshan karti hain Main kitaaben fir se almari me rakh aaya hoon Suna hai wo ba kamaal insaan padhti hai

Loot kar aabroo uski, zaalim tujhe neend kaise aayi hogi Barbbad kar usse, ghar jaa kar tune apni behen se kaise nazar milai hogi

@munawar faruqui

Uske intezaar me likhta hoon ab mein rukoon kaise Wo aaj gali se gujra hai mein aage likhun kaise Gamaane husn hai shayed unko khud pe Ab me imaan par rehkar taqabbur sikhun kaise

@munawar faruqui

Main bojhh leke chala hoon ummeedon ka Badi mashqat se manzil dikhi hai Roshni ke naam bas charag tha paas Maine ye subah raat jaag kar likhi hai

@munawar faruqui

Yellow Star
Yellow Star

Share to your friends

Connect With Us now!

Click in photos to read full article

Click in link to See more Stories

Curved Arrow